Agar larkiyan gharelo totkay istemal karny lag jayen apni khobsorti barhany k liye tou is sy na sirf un ki skin chamak daar ho jaye gi balkay wo chaaiyan aur dhabon sy bhi chutkara hasil kar sakti hain.
Also See: Natural Skin Beauty Tips In Urdu
Here are some home remedies for enhancing face and skin beauty.
Ajza (Ingredients) :
- Masoor ki daal 100 gram.
- Muli k beej ka choran 50 gram.
- Satrangy k chalky.
Tareeka (Procedure) :
Masoor ki daal, muli k beej ka choran, haldi aur satrangy k chilkon ka choran in sb ko mila kar jhaag laga dain aur subha k waqat is k paste ko ubtan k tor par istimal karny sy dhaag dhaby door ho jayen gy aur chehra khoob sorat aur haseen ho jaye ga.
Agar chehra khushk ho tou us k liye zaitoon ka tail (oil), arq e gulab aur lemon ka araq mila kar istemal karny sy khushki ka izala hoga aur rangat nikhar jaye gi.
Multani matti, arq e gulab, haldi, kheere aur lemon ka ras mila kar chehray par lagane sy chehray ki jhuriyan door hoon gi aur chehra baa ronaq ho jaye ga.
Skin Care Tips:
- Agar ap ki skin par acne aur pimples aaty hain tou ap ko sb sy phly un ki treatment karni chahiye toner sy. Din main 2 sy 3 dafa toner istimal karain.
- Sun block aur acne soap istimal karain oily skin sy bachny k liye.
- Din main kam sy kam 8 glass paani piyen aur agar paani k sath lemon k katry istimal kar lain tou ye aur bhi acha hoga.
- Din main 4 dafa mou dhoyen aur toner istimal karain.
Khoobsorti Aur Nikhar K Liye Totky:
- Chehray par pissi hui janni malny sy meli sy meli jild bhi saaf ho jaati hai.
- Chehray par siyah halky namodaar ho jayen tou in par sabz rang lagayen.
- Doodh main zaitoon ka tail daal kar peeny sy chehray par nikhar ata hai.
- Khaalis shehad main doodh ko mix kar k chehray par malain jild saaf hojaye gi.
- Shakar k sharbat main lemon ka ras mila kar rozana peeny sy rang saaf hota hai.